Powered By Blogger

शनिवार, 6 अगस्त 2011

फ्रेंडशिप डे और भारत ?

कल अगस्ट महीने का पहला रविवार है पश्चिमी सभ्यता के अनुसार फ्रेंडशिप डे. भारत कि पुरातन सभ्यता पर जबरन थोपा गया एक और अंतर्राष्ट्रीय त्यौहार जिसका मेरे हिसाब से कोई मायने नहीं है क्या हमे सिर्फ एक दिन ही मिलता है दोस्ती निभाने के लिए बाकि बचे ३६४ दिन हम क्या दुश्मनी निभाते है या झक मारते है. सोचने वाली बात है कि भारत जैसे देश मे जहा दोस्ती कि ढेरो मीसाले है वहां फ्रेंडशिप डे जैसे दिन कि जररूत नहीं होनी चाहिए . यह तो एक गुलामी कि मानसकिता को दर्शता है कि हमारे पास समय नहीं है तो चलो एक दिन दोस्ती के लिए रखलो . बाकि जिसकी जसी जो मर्जी मुझे नहीं लगता कि इस एक दिन के त्यौहार से पुरानी दोस्ती पर कोई फर्क पड़ता होगा क्योंकि दोस्ती एक दिन कि मोहताज नहीं है सच्चे दोस्तों के लिए तो हर दिन फ्रेंडशिप डे होता है.

शुक्रवार, 15 जुलाई 2011

HAR AANKH SHARMINDA THI.

JO HUVA DO DIN PEHLE MUMBAI ME VOH EK GHATNA THI.
NA JANE KITNI AANKE US HADSE KI GAVAH THI.
CHIKH PUKAR AUR ASUON KI BARISH SE JYADA BAUCHAR THI.
JINHE FIKRA HONI CHAHIYE THI DESH UNKI AANKHO ME NIND THI .
JABKI NA JANE KITNI AANKHE VAHAN APNO KO DHUNDH RAHI THI.
GUSSA THA KUCH KE LABO PAR TO KUCH KO HAIRANI THI .
MAGAR EK BAAT JO SABSE ALAG THI KUCH AANKHO KO CHOD KAR .
BAKI HAR AANKHE SHARMINDA THHI HAR AANKH SHARMINDA THI.

शनिवार, 2 जुलाई 2011

KUCH PAL BARISH MAIN .

NIKLA GAHR SE TO DHUP UJLI THI .
KUCH HI PAL ME MAGAR ASMAN PAR KALI BADLI CHAA RAHI THI.
KUCH BUNDE BARASNE LAGI DHIRE DHIRE AUR TEJ HONE LAGI .
KUCH LOG BARISH SE BACH RAHE THE TO KUCH YUHI BHIG RAHE THE.
BACHHE KUSH THE JAISE UNKE KAHNE PAR BARISH ITHLA RAHI THI.
KUCH KI AANKHO MAIN CHINTA THI KI BARISH NE UNKA KAAM ROK DIYA THA.
LEKIN MAIN VAHAN KHADA HI RAHA BARISH ME BHIGTA RAHA. BACHHO KO KHELTE.
TO KISI KO APNA CHAPPAR JODTE. YUHI NAZAR EK CHERE PAR PADI US ME KUCH
MAYUSI MASUMIYAT AUR KUCH MAJBURI THI VOH EK MAA THI JO BARISH ME APNE
AASU BARISH KE BEHTE PANI SE CHUPA RAHI THI.

शुक्रवार, 1 जुलाई 2011

kya wakai me khush hai ?

aaj kal ki bhag daud bhari jindgi me kay uhmne kabhi socha hai ki kya hum wakai khush hai. aaj kal hamari jindgi sirf aur sirf mobile, internet , social networking aur aath se dus ghante yaa usse jyada ghanto ki dyute me bit jata hai . ab hume sunday bhi chota lagta hai kyonki hum us din bhi kuch na kuch kaam lekar baith jate hai. agar hum yaad kare to pata nahi ki hum aakhri bar kab apne pariwar yaa dosto ke saath bahar ghumne gaye the. yaa kab khul kar hase the. ek baat jarur hai ki hume itna to yaad rakhte hai ki hume kal office me kya kaam karna hai . pahle hum barish ka maja khul kar lete the ab is liye nahi ki kahi bimar pad gaye to kal office nahi ja payenge. aur uske agle din boss ki dant ek din ki salary ka loss aur na jane kya kya soch kar hum apne aap ko masti karne se rok lete hai aur phir bhi hum kahte hai ki humkhush hai ?
bas ek hi baat kahna chaunga ki jindgi ko jindgi kitarah jiyo kahi aisa na ho jindgi tumhe bojh samjhne lage